Oyuncular



Facebook Yorumları
  • comment image

    şarkının sözleri aşağıdaki gibidir;

    --chorus--
    (khamoshiyan gungunaane lagi
    tanhaaiyan muskuraane lagi) - 2

    --female--
    (khamoshiyan gungunaane lagi
    tanhaaiyan muskuraane lagi
    sargoshi kare hawa, chupke se mujhe kaha
    dil ka haal bataa, dilbar se naa chhupa
    sunke baat yeh sharm se meri aankhen jhunk jaane lagi) - 2

    jaag utha hai sapna kiska meri in aankhon mein
    ek nayi zindagi shaamil ho rahi saanson mein
    kisi ki aandhi hai sadaa hawaaon mein
    kisi ki baatein hai dabi si honton mein
    raat din meri aankhon mein koi parchhaayi lehraane lagi

    --male--
    khamoshiyan gungunaane lagi
    tanhaaiyan muskuraane lagi
    dil ka yeh karwaan, yunhi tha rawaa dawaa
    manzil na humsafar, lekin main maherbaan
    teri voh ek nazar kar gayi asar
    duniya savar jaane lagi
    khamoshiyan gungunaane lagi
    tanhaaiyan muskuraane lagi

    sharmo hayaa se keh do khuda haafiz, o meri jaana
    hai ghadi milan ki, khudaara laut ke na aana

    --female--
    raat ka parda hamaari hi khaatir
    saje hai hum bhi to tumhaari hi khaatir
    jaise jaise tum paas aate ho, saansein ruk jaane lagi

    --male--
    khamoshiyan gungunaane lagi

    --female--
    khamoshiyan gungunaane lagi

    --male--
    tanhaaiyan muskuraane lagi

    --female--
    tanhaaiyan muskuraane lagi

    --male--
    dil ka yeh karwaan, yunhi tha rawaa dawaa
    manzil na humsafar, lekin main maherbaan
    teri voh ek nazar kar gayi asar
    duniya savar jaane lagi

    --both--
    khamoshiyan gungunaane lagi
    tanhaaiyan muskuraane lagi


    (sine qua non - 7 Şubat 2011 14:07)

Yorum Kaynak Link : khamoshiyan gunguname lagi